Online money earning kya hai, aaj ke time me kyu jaruri hai aur kise jaruri hai. Hello readers, aaj hum apke liye laye hai top7 earning website jis se aap daily 2-3 ghante dekar online earning kar sakte hai. Bas apke pas mobile ya laptop hona chahiye. Aaj ke is internet ke pandemic situation me jyada tar job khatam ho gayi hai. Apko bhi pta hoga ki internet ki wajah se fayda aur nuksan dono ho raha hai. Jyadatar log aur teenager’s internet ka sahi istemal nahi karte hai. Adhiktar log iska use entertainment ke liye karte hai. Lekin jyadatar logo ko ye nahi pta ki wo internet se online money earning bhi kar sakte hai.
Online earning Profits
Online money earning ke bahot se fayde hote hai jaise ki aap kahi bhi rah kar asani se earn kar sakte hai. Jo bhi platform hum apko batane wale hai unme kisi bhi tarah ki certification ki jarurat nahi padti hai. Na hi apko koi attendance ke liye kuch bolega. Aur students aur house wife ke liye best work rahega. Aap is work ko continue karte ho to 5-7k in a month earn kar skate ho. Online money earning wale kaam me aap khud ke malik hote hai, jitna kaam karte ho utna hi profit milta hai.
Online Scam
Online money earning ke name se hi kuch log duur bhagte hai. Kyunki bahot logo ko aisa lagta hai ki Kuch log online money earning karne ke chakkar me wo kahi bhi kisi ke bhi bolne par join ho jaate hai jiske wajah se unke sath scam ho jata hai. Internet ke duniye me scam karna bahut hi aasan ho gya hai. Khaskar un ke sath jo internet se jada jude rahte hai. Bhale hi app log 100-200 rupay ka invest karte hai. Lekin is tarah lakho log lakho rupay gava kar, company ya kisi 3rd party application ko lakho ka profit dete hai.
Money making website
Isliye humne kafi research ke baad apke liye kuch aisi websites dhundhi hai. Jo apke skill ke hisab se rupay degi. Agar apke pas koi skill hai to aap hamare bataye gaye platform ke jariye asani se money earn kar sakte hai, fir chahe aap padhe likhe ho ya nahi bas apke thoda sikhna hoga. Kisi mahan insan ne bola hai ‘first you learn, then you can earn’. Jo websites hum leke aye hai unme se koi bhi website fake nahi hai sabhi ki sabhi website genuine. Hum apko 7 website batayenge jinko aap try karke aram se earning kar sakte hai.
7 earning websites
- TryMyUI
- TextBroker
- Rev
- Cambly
- Freelancer
- Shutterstock
- Upwork
TryMyUI

Ye online money earning ke liye bahot hi achi website hai. Dekhiye bina kisi knowledge ke money earn karna bahot hi muskil hai. Aur ye to online money earning wale websites hai, jaha bina kisi knowledge ke koi kaam nahi ho sakta hai. Waisa hi is website par hai. Apko application aur website ki achi knowledge honi chahiye. Apko website aur application ki basic knowledge honi chahiye ki, kam kaise karte hai.
How it works
Is website par badi badi compnies apni websites aur application ko submit karate hai. Apne kabhi kabhi ye jarur notice kiya hoga ki kisi game, application ya fir website me koi bug hota hai. Jiski wajh se apko usko istemal karne me bahot problem aati hai. Iska sidha asar company pe padta hai, hame lagta hai ki aisi compnies se itna bada mistake kaise ho jata. bas inhi galti ko sudharne ke liye is website ko design kiya gya hai taki compnies apne product ko launch karne se pahle yaha under review me daal de aur unhe unki galtiya pahle hi pta lag jaye.
Unke in product me aap koi mistake bta ke unki problems ko asan kr de. Yaha apko jyada kuch nahi karna hai bas Aap unke UI (user interface) ko test karenge ek affordable price par. Uske badle me apko rupay diye jayenge.
Review category
- Live website
- Mobile website (Android and iOS)
- Mobile apps (Android and iOS)
- Beta sites
- Hi-fi or lo-fi prototypes
- First impression testing
- Competitor’s website and etc.
TryMyUI Rank: #35,125
TextBroker

Ye American website hai. Is website ke name se apko idea lag hi gya hoga ki yaha kuch text ko leke kaam hoga. Agar apko likhna pasand hai to ye website apke liye best hai.
How it works
Yah ek aisa platform hai jaha koi bhi articles ke liye request submit kar sakta hai. Jis kisi ko rupay kamane hai, wo is website pe jata hai aur articles ki requirment ko dekhte hue write karna hai. Jaise jaise aap is website pe kam karte hai. Uske hisab se log apko star milenge matlab apki rating, aur jitni jyada rating hogi utna jyada apko pay kiya jayega.
Earning
Yaha kisi tarah ka koi rupay pay nahi karna hai. Apke ander skill honi chahiye. Is website ko banaya hi isliye gya hai. Ki koi bhi yaha ek quality content likhe aur inko submit kar de, ye content ke badle apko pay kar denge. Lekin ek condition hai ki apko articles English me hi likhna hoga. Ye apko word count ke hisab se pay karti hai. Is website pe apko sign up free hai.
TextBroker Rank: #21,455
Rev.com

Ispe 100,000+ customers. Yaha apko audio video files milti hai, jinhe apko bas text me convert karna hota hai. inka price bhi bahot hi acha hai. Ye apko $1 per minute audio ke hisab se pay karte hai. aur ye bahot hi acha rate hai aur kaam bhi bahot hi simple hai. lyoytfgchgd
Rev Rank: #5299

Agar apko teaching achi lagti hai to ye apke liye ek perfect platform hai. Yaha par aap English ki tution de sakte hai. lekin apko yaha video ke jariye apko tuition dena hoga. Yaha apko tuition dena ka sabse bada fayda ye hai ki apko students ko dhundhna nahi hoga is website pe bahot hi jyada matra me log rahte hai. Kisi tarah ka certificate ya skill require nahi hoti hai. Ap apne time ke hisab se tuition de sakte ho aur money earn kar sakte ho.
How it works
Inki website bahot ko use karna bahot hi simple aur khoobsurat hai. Ye apko teaching karne ke 2 options dete hai ,’child & and adults’. Aap child ko aur adult dono k hi padha sakte hai.
Earning
Ye koi fake webite nahi hai. Aap 900 rupay per hour earn kar sakte hai. Cambly apko weekly payment karta hai aur Payment bhi apka time pe ho jayega. Try it now.
Cambly: #4909
Freelancer

Sayad apko is website ke baare me pahle pata hoga. Agar nahi pta ho to mai batata huu. Aap kisi field me expert ho to ap job dhundh ke work kar sakte hai. yaha kisi tarah ka koi pressure nahi hota hai. Apne time ke hisab se aap apna kaam kar sakte hai. Yaha har parkar ke job available hai.
Skill base
- Graphic design
- Web designing
- Mobile app development
- Software development
- Internet marketing
- Data entry job
- SEO job
- Writing
- Finance job
- Manufacturing job
- Manufacturing job
Freelancer Rank: #881
ShutterStock

Ye website sirf photographers ke liye best hai. Agar apko photos click karna pasand hai to aap un sabhi photo ko sell karke money earn kar sakte hai. Aap apni photos ko upload kijiye aur un photos ke ek price fix kar dijiye. Agar kisi ko wo photo pasand aayi to wo apse photos kharid lega. Jisse ap ek acha amount kama sakte hai. free version me limited photos upload kar sakte hai. Agar apko bahot saari photos sell ke liye lagani hai to apko inka pro version lena hoga.
How it work
Shutterstock pe apko account create karna hoga. Apna account banate samay apko ek baat ka dhyan rakhna hoga ki apki details bank details se match karni chahiye. Agar apne kuch bhi missmatch hua to apko payment ke samay bahot problems aa sakti hai. Apko apni photos category ke hisab se list karna hoga.
Shutterstock Rank: #156
UpWork

Jab mai college me tha, to is website me meri bahot hi help ki hai. Mai yaha part time data entery ka kam karta tha. Agar app collage me ho to app ke liye online money earning ka bahut hi achi opportunity hai. Mostly logo ka upwork one of the best work platform hai. Agar app kisi bhi field me part time kam karna chahte hai to app upwork me apply kar sakte hai.
Ek jarur baat dhyan rakhe jab app upwork pe apni profile banye to as a professnal detail dale. Taki ap ko claint ke sath interview me koi bhi dikat na aaye. Jis se ap ko back-to-back kam milta rahe. Agar apne apna career free lancing me start karna hai to, ye article apke liye bahot faydemand hogi. Aap student hai ya koi part time job karna chahte hai to upwork ek bahot hi acha platform hai.
How it works
Ye website kaise work karti hai. Sabse pahle apko apni id create karni hai. Ap apni id gmail aur apple se sign up kar sakte hai. Uske bad apko apne interset ke according niche select karna hai. Ye website apko options degi, ki apko kaam karwana ya khud karna hai, to aap usko apne hisab se slecet karoge. Agar apko rupay kamana hai to aap apne interested niche ke baare me search kare.
Earning
Upwork ek professional job ki tarah kaam karta hai. Apko logo se deal lena padta hai. Apko apke kaam aur time ke hisab se paise milenge. Agar apne koi laparwahi ki to deal cancel ho jayega, jis se apki rating kam ho jayegi. Rating kam hone ki wajah se next deal milne me problem aa sakti hai. Ap deal karte samay apne kaam ke hisab se apna charge fix kar sakte hai.
UpWork Rank: #154
Mujhe asha hai ki apko hamara ye article bahot hi pasand aya hoga aur apke liye bahot hi helpful sabit hoga. Click kare
Very nice sir you openion is best
Thanx Ram Kumar
Quiet helpful,
Thanks for your recommendation buddy. Keep it going.
[…] Online money earning | Top 7 earning websites in hindi March 30, 2022/ 4 Comments […]
[…] Agar apko instant paise kamana hai to Click Here. […]
Wonderful blog! I found it while surfing around on Yahoo News. Do you have any tips on how to get listed in Yahoo News? I’ve been trying for a while but I never seem to get there! Cheers
[…] Full time aur part time kaam kar ke ap amazon se paise kama sakte ho. Agar ap ko social media se online paise kamana hai to Click here […]